Usay Itna Bata Dena


Hum dukh apne chupa kar bhi
Khushi ke geet ga kar bhi
Hansi hounto par saja kar bhi
Zaid usi ko yaad karte hain


Jab bhi chalka meri aankho se wo pani ki tarah
Khak main milne laga meri jawani ki tarah
Kuch is tarah se meri zindagi na kam rahi
Zaid ek be waja si be nam kahani ki tarah